![]() |
![]() |
![]() |
| jigar.. |
|
alex
Site Admin
|
~~Jigar~~
tukdon mein bikhra hua kisi ka jigar dikhayenge kabhi aana hamari basti tumhe apna ghar dikhayenge honth kaanp jaate hain thar-tharaati hai zabaan toote dil se nikli huii aahon ka asar dikhayenge kabhi aana hamari basti tumhe apna ghar dikhayenge........ aik pahunch paata nahin aik aur chhalak jaata hai palkon se daaman tak ka ashqon ka safar dikhayenge kabhi aana hamari basti tumhe apna ghar dikhayenge......... kahin tasveer hai teri kahin likhaa hai tera naam mandir-masjid jitna paak aik deewar-o-dar dikhayenge kabhi aana hamari basti tumhe apna ghar dikhayenge......... aksar takti rehti hai sunsaan raahon ko sanam darwaaze par baithi huii sapno ki nazar dikhayenge kabhi aana hamari basti tumhe apna ghar dikhayenge.................... ARSHEE |
||||||||||||
|
|
|||||||||||||
| jigar.. |
|
||
|




