![]() |
![]() |
![]() |
| A Nice Ghazal By Bashir Badar |
|
preeth
|
Abhi is taraf na nigaah ker mai Gazal ki palken sanvaar loon
Mera lafz lafz ho Aainaa Tujhe Aaine mai utaar loon Mai tamaam din ka thakaa hua Tuu tamaam Shab ka Jagaa hua Zara Thahar ja isi Mor per Tere sath Shaam guzar loon Agar Aasaman ki numaishon mai Mujhe bhi izn-e-qayaam ho To mai Motiyon ki Dukaan se Teri Baaliyaan, Tere Haar loon Kayi Ajanabi Teri Raah k Mere paas se yun guzar gaye jinhen dekh ker ye Tarap hui Tera Naam leke pukaar loon |
||||||||||||
|
|
|||||||||||||
| A Nice Ghazal By Bashir Badar |
|
||
|




