![]() |
![]() |
![]() |
| Sochta Hoon....Ishq Vishq Shayari |
|
alex
Site Admin
|
Jab akela hota hoon kuch sochta hoon,
Bas kisike baare main sochta hoon, Uske saath bitae har pal ke baare main sochta hoon, Kabhi sochta hoon.. kyun sochta hoon itna, Phir baat aati hai ke shayad, Pyaar karta hoon isliye sochta hoon... Kya yahi pyaar hai? Agar nahi hota to itna khayal kyun karta, Is bheed bhaad se bhari zindagi main, Jahan apne thikano ka pata nahi, Vahan kisi aur ke baare main sochna, Kyu mumkim sochta hoon... Vo gair nahi vo to apna hai, Isliye to khyala sirf uska hai, Band aankhon main bhi intazaar uska hai, Vo apna he hai shayad, Shayad koi dil ke kareeb, Isliye to itna khayal karta hoon, Ab samjha kyu itna sochta hoon... |
||||||||||||
|
|
|||||||||||||
| Sochta Hoon....Ishq Vishq Shayari |
|
||
|




