![]() |
![]() |
![]() |
| Ishq ne Dil mai jaga ki to Qazaa bhi aayi ( Hindi Ghazal ) |
|
sambu
|
Ishq ne Dil mai jaga ki to Qazaa bhi aayi
Ishq ne Dil mai jaga ki to Qazaa bhi aayi Dard Dunya mai jab aaya to Dawa bhi aayi Dil ki Hasti se kiya Ishq ne Aagah Mujhe Dil jab aaya to Dharakne ki Sada bhi aayi Sadqe utaraenge, Aseeran-e-Qafas chuute hain Bijliyan leke Nasheman per Ghata bhi aayi Haan!! na tha Baab-e-Asr band, Magar kya kahiye Aah pohunchi thi k Dushman ki Duaa bhi aayi Aap socha hi kiye, Us se Miloon ya na Miloon Maut Mushtaaq ko mitti mai mila bhi aayi Lo!! Masihaa ne bhi, Allah ne bhi Yaad kiya Aaj Beemar ko Hichki bhi, Qazaa bhi aayi Dekh ye Judaa-e-Hastii hai, Sanbhal ker "Fani" Piche Piche wo Dabe Paaon Qaza bhi aayi |
||||||||||||
|
|
|||||||||||||
| Ishq ne Dil mai jaga ki to Qazaa bhi aayi ( Hindi Ghazal ) |
|
||
|




