![]() |
![]() |
![]() |
| Ek pyaas ban gayi hai - Ishq Vishq Shayari |
|
alex
Site Admin
|
Samajh nahi aata kis ko kya kahoo mein
Kaun hai jisko main apna keh sakoo yahan Teri yaad mere DIL se jaati nahi Ye aankhain jo tujhe dhoondti hain inhain kaise rookoon main Ek waqt tha jab DIL main sirf dard tha or aankh main ansoo nahi Ab ye aalam he ki DIL main dard bhi hai or aankho main ansoon bhi Umeed jo toot rahi hai woh aankh main ansoon la rahi hai Kaise in ansoono ko umeed main badal doon Kis taraha tujhe bataoon ki TUM BIN main kaisa hoon Kis taraha tujhe samjhaoon ki mere liye tum kya ho Ab dar lagta hai ke zindagi guzar rahi hai kaise yeh bataoo ke aaj main hoon shayad kal nahi Har guzarta lamha dil main ek ajeeb sa dar chedh jata hai Kaise ye ehsaas tujhe dilaoon main Zindagi ek hi mile hai ye phir se vapas nahi aayegi Kaise phir se tere DIL main apna pyaar jagaoon main Har guzarta din ek mayoose chood jata hai Har guzarta lamha ek aas ban jata hai Jab shaam dhal jati hai Meri tanhaai or asar karti jaati hai Subha phir ek umeed se aankhain jagti hai Or shaam hote hote main phir yadoon se bhar jaata hoon Ab dil chahta hai ki Ya to main ya ye yaadain na rahe Par kya karoon in dono par hi mera haq nahi hai Lagta hai ab tho zindagi ek aas ban gayi hai Mere liye jaise ek pyaas ban gayi hai Ek pyaas ban gayi hai........................................... Tum bapas aa jao....................... pls bapas aa jaao.................................... |
||||||||||||
|
|
|||||||||||||
| Ek pyaas ban gayi hai - Ishq Vishq Shayari |
|
||
|




