![]() |
![]() |
![]() |
| Kuchh ishq thaa kuchh majboori thi |
|
melbin
|
*Kuchh ishq thaa kuchh majboori thi,
so main ne jeevan vaar diyaa main kaysaa zindaa aadmi thaa, ik shakhs ne mujh ko maar diyaa ye sajaa sajaayaa ghar saaqi, merii zaat nahiin meraa haal nahiin ay kaash kabhi tum jaan sako, jo us sukh ne aazaar diyaa main Khuli hui ik sachchaaii, mujhe jaan-ne vaale jaante hain main ne kin logon se nafrat ki, aur kin logon se pyaar kiyaa vo ishq bahut mushkil thaa magar, aasaan na thaa yuun jinaa bhi us ishq ne zindaa rahne kaa, mujhe zarf diyaa pindaar diyaa ik sabz shaakh gulaab ki thi, ik duniyaa apane pyaar ki thi vo ek bahaar jo aaii nahiin, us ke liye sab kuchh haar diyaa main rotaa hoon aur aasmaan se, taare Tuut-te dekhtaa hoon un logon par jin logon ne, mere logon ko aazaar diyaa vo yaar hon yaa mahboob mere, yaa kabhii kabhii milne vaale ik lazzat sab ke milne main, vo zakhm diyaa yaa pyaar diyaass* * * Na shikwa na gila na shikayat karenge, Umar bhar us ka naam lekar marenge, Wo chahe na chahe hume gum nahi koi, Hum har pal bas ussi se muhabbat karenge |
||||||||||||
|
|
|||||||||||||
| Kuchh ishq thaa kuchh majboori thi |
|
||
|




