![]() |
![]() |
![]() |
| Udaasioon ka sabab jo likhna |
|
alex
Site Admin
|
Udaasioon ka sabab jo likhna,
to ye bhi likhna kay chand taaray, shahaab ankhien badal gaye hain wo zinda lamhay jo teri raahon mein tere anay kay muntazir thay wo thak kay raahon mien dhel gaye hain wo teri yaadien, khayal tere, wo ranj tere, milaal tere wo teri ankhein, sawal tere wo tum say mere tamaam rishtay bichar gaye hain, ujadh gaye hian udaasioon ka sabab jo likna to ye bhi likhna leraztay hoonton pe larhkharhti, dua kay soraj peghal gaye hain tamaam sapnay he jal gaye hain baad marnay ke tum meri kahani likna kese hoi bardaad meri jawani likhna ye bhi likhna kay mere hoont hansi ko tarsay kese bahta raha meri ankhoon say pani likna |
||||||||||||
|
|
|||||||||||||
| Udaasioon ka sabab jo likhna |
|
||
|




