![]() |
![]() |
![]() |
| ham apney dil ko bhi samjha na paye |
|
alex
Site Admin
|
jo shikwe they laboN tak aa na paye
ham apney dil ko bhi samjha na paye mila tha pyar bhi lekin mukaddar use jab waqt tha apnaa na paye kareN kya zikr ab us daastaaN ka jisey anaam tak pahuNcha na paye tumhari rehnumaai thi ki mujhko wo uljhe raaste behkaa na paye mukaddar par chalaa hai zor kiska thi manzil saamne par ja na paye Ravi Kant 'Anmol' anmolsaab <anmolsaab@yahoo.co.in> |
||||||||||||
|
|
|||||||||||||
| ham apney dil ko bhi samjha na paye |
|
||
|




