![]() |
![]() |
![]() |
| Dastak |
|
alex
Site Admin
|
woH sunkar thak chu-kay meri baateiN
oob chu-kay gin-kar meri aaNsooN ki booN-day poochh-tay haiN iss chhoti si baat peH kya rona sochooN maiN yeH dil , dil hai ya khilona jaanti hooN kam unka pyaar bhi nahiN hai phir bhi iss dil peH mera akHtiyar nahiN hai jis waqt nikal gayaa me-ray wishwaas ka janazaa baNd kar liya mai-nay iss dil ka darwaaza phir bhi yeH dastak mu-jahy kar de-tay beqaabu naH chaah-tay hu-ay bhi darwaaza maiN kholooN muskuraooN unhi ka chehraa nihaarooN unn saNg haNs looN phir baiTh keH ro looN zakHm haraa hai abhi bharaa to nahiN hai chaain ka baadal man ko ghiraa bhi nahiN hai ai-say meiN yeH dastak mu-jahy kar deti haiN durbal (weak) nafrat ki aaNdhi meiN yeH dil huaa bekal har baar ThaanooN yeH aaNsooN kaa hai daldal dukh sukh kay iss jaNg meiN naH hona mu-jhay shaamil ab phir darwaaza dil ka naH kholooN iss baar mil-nay peH pah-lay naH bolooN iss baar to pakka iraadaa hai mera meri kaali raatoN ka aik ujjwal saweraa naH rahegaa baaNs naH bajegi baaNsoori ap-nay armaanoN peH kHood chalaa looN maiN chhoori apnaa maana hai tabhi to yeH diqqat hai wahi bhool jaaooN to phir kiss-ki himmat hai woH kuchh bhi kar laiN unki hai niji (personal) baat usmaiN dakHal dooN meri kya auqaat it-nay maiN soonai day rahaa hai khaT khaT shak nahiN kuchh yeH unka hai dastak paRh-nay waaloN zaraa Thahro maiN aayi unko manaa kay bas ik pal meiN aayi. m_ki_jaan1123 <m_ki_jaan1123@yahoo.com> |
||||||||||||
|
|
|||||||||||||
| Dastak |
|
||
|




